Holi Celebration in Uttar Pradesh : Holi Details in Hindi

Holi Celebration in Uttar Pradesh Details in Hindi: Namaskar dosto! Happy Holi Whatsapp messages website ke Holi celebration ke ek or vishesh article me aapka tahe dil se swagat hai. Aaj ham is post me janenge ki Holi ka celebration Uttar Pradesh me kaise hota hai. Isse Pehle hamne holi celebration in Gujarat, Goa and Maharashtra ke article me in tino rajyo ke hindi celebration ke bare me bataya tha. Aaj is article me ham Uttar Pradesh ke Holi celebration ke bare me janenge.


holi-celebration-uttarpradesh-lath-mar-holi

Holi Celebration in Uttar Pradesh : Uttar Pradesh me Holi kaise manai jati hai?

Uttar Pradesh Bharat ke un rajyo mai se hai jisme Holi ka tyohar or uska celebration ek alag hi andaz me hota hai. Holi Uttar Pradesh me bade hi dhoom dham se manai jati hai. Uttar Pradesh ke Braj kshetra mai Mathura ke paas ek shehar hai jiska nam hai Barsana. Barsana Radhaji ke birth place ke taur par kafi mashoor hai or yaha ki Lath Mar Holi bhi bahut famous hai.
Radha Rani Mandir ke vishal parisar me Lath Mar Holi manai jati hai. Lath Mar Holi main mahilae, purusho ko lathi se pitati hai or hajaro log is historic moment ko dekhne ke liye yaha par ikaththa hote hai. Log Holi ke gane gate hai or sath sath me Sri Radhey or Sri Krishna ka nam lete hai. Holi ke sabhi gane shudh local language Braj me gaya jata hai. 

Barsana ki Lath Mar Holi is mayane bhi sabse anokhi hai kyun ki yahan mahilae purusho ko lathi se marati hai. Pehle purush mahila ka dhyan apni or aakarshit karne ke liye Braj boli ke uttejak gane gate hai or mahila ko apni taraf uksate hai. Mahilae fir purusho ko lambi sidiyo jaisi lathi se marti hai or unka Raksha bhi karti hai.

Aaiye ab dekhte hai ki Krishna Bhagwan ke birth place Mathura me Holi ka utsav kaise manaya jata hai. Vrindavan me Holi ka din Krishna Bhagvan ke paramparik rivaj se puja karke manaya jata hai. Ek khas bat yeh hai ki yeh tyohar 16 dino tak manaya jata hai. Pure Braj Pradesh or uske aaspas ke Pradesh jaise ki Hathras, Aligarh and Agra main Mathura or Barsana ki Tarah hi dham dhoom se manaya jata hai.


Holi ke paramparik celebration me Mataki Phod ka bhi kafi mahatva hai. Mataki Phod Maharashtra me Dahi Handi ke saman hi utsav hai.Mataki Phod Braj ke sath sath Bharat ke western ilako me bhi ek etihasik parampara hai. Mataki Phod utsav me mitti ke ghade me makhan ya dahi bharkar use rassi se upar latkaya jata hai.Ladko or purusho ka samooh insani pyramid banakar use todne ka prayas karte hai to mahilaye unke upar rangin pani dalkar unko is kam se vichalit karti hai or unhe rokne ka prayas karti hai.


Holi Celebration in Uttar Pradesh : Holi Details in Hindi



Braj ke bahari vistar yani ki Kanpur me Holi ka celebration 7 dino tak chalta hai. Utsav ke aakhri din yahan par Ganga Mela ya Holi Mela ka aayojan kiya jata hai jo ki Bharat ke freedom fighters ne start kiya tha. Yah Mela Kanpur me Ganga nadi ke vibhinna ghato par aayojit kiya jata hai. Ganga Mela ki purva Sandhya ko sabhi school or colleges me or sarakari kacheriya bandh rehti hai, Ganga Mele ki sath hi Holi festival ka officially end mana jata hai.


Uttar Pradesh ke Uttar Purvi jile Gorakhpur me Holi ka din Pig Holi ke rup me manaya jata hai or is din special pooja ka aayojan kiya jata hai. Yah din Holi Milan ke nam se bhi jana jata hai. Log ek doosre ke ghar par jate hai, Holi ke git gate hai or ek doosre par Abir Gulal dalkar holi ka jashn manate hai. Hindu panchang ke is din ko naye saal ki shuruat bhi mana jata hai kyun ki yeh Hindu Panchang ke Pehle din manaya jata hai.


Final Words: Dosto, to yeh tha Holi celebration ka ek or article jisme hamne jana ki Uttar Pradesh me Lath Mar Holi or Holi ka tyohar kaise manaya jata hai. Ham ummid karte hai ki details jo yaha par di gai hai use padhkar aapko jankari mili hogi. Aapko hamara yeh article kaisa laga wo hame jaroor bataye. Happy Holi! 

Post a Comment

0 Comments