Namaskar dosto! Holi 2020 ke ek or cricket special post me aapka swagat hai. Aap jante hai ki hamne yeh puri website Holi special hi banai hai or sabhi posts holi ke ird gird hi Rakhi hai to aap yeh soch rahe honge ki Holi 2020 ke siva ye cricket wala post kyu?
Agar India yeh final jeet jata hai to hamko Happy Holi Images 2020 share karne ka or Happy Holi Messages whatsapp par share karne ka ek alag hi shandar reason mil jayega. Lekin ham aaj yeh bate kyu kar rahe hai? Yeh sabhi baat karne ka reason yeh hai ki India ne ab tak 2 match khele hai or dono muqable me shandar jit darj ki hai. Aaiye nazar dalte hai bharat ke dono mukablo ke upar.
Holi 2020 and Cricket World Cup 2020:
Aap ki soch bilkul sahi hai lekin yeh post bhi isi ke sath judi hai wo aapko iske bare me yeh post padhne ke baad pata chal jayega. Ham sabhi janate hai ki Holi 2020 is saal 9th March ko hai jo ki Somvar ke din hai or 8th March, 2020 ke din women cricket world cup ka final match hai.Agar India yeh final jeet jata hai to hamko Happy Holi Images 2020 share karne ka or Happy Holi Messages whatsapp par share karne ka ek alag hi shandar reason mil jayega. Lekin ham aaj yeh bate kyu kar rahe hai? Yeh sabhi baat karne ka reason yeh hai ki India ne ab tak 2 match khele hai or dono muqable me shandar jit darj ki hai. Aaiye nazar dalte hai bharat ke dono mukablo ke upar.
1) Bharat Vs Australia
Bharat ne apne world cup ki journey Australia ke sath khel kar start ki thi. India ne is match me 17 rano se jit hansil ki thi. Aiye ek nazar dalte hai is match ke key points ka.
- Sydney main khele gaye is mukable main Australian team ne toss jita tha or pehle bowling karne ka faisla liya tha.
- Bharat ne pehle batting karte huwe 20 overs me 4 wicket khokar 132 run banaye the.
- Bharat ki or se Deepti Sharma ne sabse jyada 49 run banaye the. Jabki mahila team ki Virendra shehwag ke nam se mashoor hui Shefali Verma ne 15 gendo me 29 ran banaye the.
- Iske jawab me Australian women team ne Shikha Pande or Poonam Yadav ke samne ghootne tek diye or puri team 19.5 overs me 115 runs par hi simat gai.
- Shikha Pande ne 3 wickets jabki Poonam Yadav ne 4 wickets liye the. Poonam Yadav ko player of the match chuna gaya tha.
2) Bharat Vs Bangladesh
Australia ko harane ke bad India ka doosra match hua Bangladesh ke sath. Indian team ne is match me Bangladesh ko 18 rano se maat di. Chaliye dekhte hai match ke kuch aham pehloo par.
- Bangladesh ki team ne toss jita tha or pehle gendbaaji karne ka faisla liya tha. Yeh match Perth me khela gaya tha or world cup ka 6th match tha.
- Shefali Verma ne shandar ballebaji karte hue sirf 17 gendo me 39 runs banaye. Shefali ka strike rate 229 se bhi jayada tha or usne 2 chauke or 4 chhakke lagaye the. Isi vajah se Shefali Virendra Shehwag ke nam se famous ho gai hai.
- Indian team me 20 overs main 6 wickets khokar 142 runs banaye.
- Iske javab me Bangladesh ki team 20 overs main 8 wicket khokar 124 runs hi bana paai or Bharat ki team ne 18 rano se jit gai thi.
- Poonam Yadav ne sabse jyada 3 wickets liye the. Shefali Verma ko unki toofani pari ke liye player of the match chuna gaya tha.
India matches in World Cup 2020
Bharat ne ab tak khele gaye dono mukabale me jit hansil kar ke top ki position me hai. Bharat ka agla match New Zealand ke khilaf hai jo 27 Tarikh ko khela jayega. 29 Tarikh ko Bharat ki bhidant Sri Lankan team se hogi.
5 Tarikh ko semi final khela jayega or 8 Tarikh ho women world cup ka final khela jana hai. Bhartiya team jis Tarah ki form main hain us hisab se semi final mei pahunchane me jyada dikkat ka samna nahi karna padega. Or agar sab kuch sahi raha to Holi 2020 ke Pehle hi world cup 2020 Bharat ke hatho me hoga.
Agar yeh hota hai to holi celebration me char chand lag jayenge isme koi doubt nahi hai. Holi wishes images share karne main bhi maja aa jayega. Ham to yahi ummid karte hai ki world cup India jite or Holi ke celebration ko nai unchaiyo par lekar jaye. Happy Holi and Best of luck! For more Happy Holi Wishes 2020, check this website.
0 Comments