Holi Ke Gane | Hindi Holi Songs from Old and New Hindi Bollywood Movies: Namaskar dosto! Holi 2020 ka tyohar aa gaya hai or hava main uski khooshbu mehsoos ho rahi hai. To aaj ham isi tyohar ke liye kuch chuninda Holi ke Gane lekar aayenge. Jise sunkar aap na hi khoosh ho jayenge balki Khushi se jhoom uthenge.
Holi vaise bhi rango ke sath sath nach, gane or jashn manane ka tyohar hai. Holi songs for Holi aapko isi tyohar ke gane chunane me help karenge. Hamne is post me holi ke gane select kiye hai jo ki old or new hindi Bollywood movies me se liye gaye hai.
Must Listen Hindi Holi Songs on this Holi 2021 |
Holi vaise bhi rango ke sath sath nach, gane or jashn manane ka tyohar hai. Holi songs for Holi aapko isi tyohar ke gane chunane me help karenge. Hamne is post me holi ke gane select kiye hai jo ki old or new hindi Bollywood movies me se liye gaye hai.
To aaiye ab chalte hai Holi ke Gano ke taraf jisse sunne ke baad aap ki Holi Celebration me char chand lag jayenge.
2) Aaj na chhodenge bas hamjoli from movie Kati Patang: Ek aur holi ki khoobsurati ko darshata hua song film Kati Patang se. Bollywood ke sabse Pehle superstar Rajesh Khanna ki superhit movie ka gana hai ye. Lata Mangeshkar or Kishor Kumar ki evergreen Jodi ka yeh gana bahut hi shandar hai jo aaj bhi Holi ke tyohar me sabhi television channels or radio stations pe bajte rahte hai or Holi ke deewano ke liye aaj bhi yeh geet kafi popular hai.
3) Holi Ke Din Dil Mil Jaate Hai from movie Sholey: Holi ke rango me rang mil jate hai or isi rango ke sath sath dil bhi mil jate hai usi bhavana or feelings ko darshata hai bharat ki all time hit movie me se ek film Sholey me se. Ha Amitabh Bachchan is gane me bhi mojud hai or Dharmendra ke sath unki yeh film bahut hi popular hui thi. R D Burman ka music or Lata Mangeshkar - Kishor Kumar ki evergreen duet ne is gane ko amar bana diya hai. Holi ka tyohar gile shikve bhoolkar nachne gane ka or jhoomne ka tyohar hai jo is gaane me shandar tarike se dikhaya gaya hai.
Old Hindi Holi Songs
Jaisa ki hamne kaha ki ham is post me naye or purane hindi holi songs select kiye hai to aaiye ham dekhte hai sabse pahle purane filmo se old hindi holi songs ki jo aaj ke daur me bhi utne hi famous hai or jise sunkar Holi ka utsah double ho jata hai.
Holi Songs from Bollywood Old Movies
1) Are Ja Re Hat Natkhat from movie Navrang: Aaj se lagbhag 60 saal pahele bana holi ka yeh geet aaj bhi utna hi prastut hai. Aaj bhi ise sunte hi man jhum uthata hai. Asha Bhosale or Mahendra Kapoor ne is gane me apni avaaz se jan daal di hai to C. Ramchandra ka music kano ko or dil ko ke alag hi feel deta hai. Isi film se Mahendra Kapoor ne singer ke roop me apna career start kiya tha. Mahendra Kapoor or Asha Bhosale ki avaazo ne is song ko amar kar diya hai. Aaj bhi ise sunte hai to dil holi ke nashi me puri Tarah se rang jaata hai.2) Aaj na chhodenge bas hamjoli from movie Kati Patang: Ek aur holi ki khoobsurati ko darshata hua song film Kati Patang se. Bollywood ke sabse Pehle superstar Rajesh Khanna ki superhit movie ka gana hai ye. Lata Mangeshkar or Kishor Kumar ki evergreen Jodi ka yeh gana bahut hi shandar hai jo aaj bhi Holi ke tyohar me sabhi television channels or radio stations pe bajte rahte hai or Holi ke deewano ke liye aaj bhi yeh geet kafi popular hai.
4) Rang Barse Bhige Chunar Vali Rang Barse from movie Silsila: Amitabh Bachchan one more time for Holi. Ha Amitabh Bachchan ki jaandar avvaz me ek or shandar Holi gana. Takariban 40 saal Pehle release hua gana or film ka music kafi popular hai aaj bhi. Amitabh Bachchan or Rekha ki film ka yeh gana aaj bhi bahut popular hai or is gane ke bina holi celebration fika hai isme koi shak nahi hai. Ek or khas baat is gane ke bare me. Is song ke lyricist the Harivansh Rai Bachchan. Ji ha Amitabh Bachchan ke father or bahut hi bade kavi, Harivansh Rai ji ne is geet ko likha tha. Jab pita or putra ki esi Jodi sath ayegi to geet hit to hona hi hai. Must listen song for everyone.
5) Jai Jai Shiv Shankar from movie Aap Ki Kasam: Rajesh Khanna or Mumtaz ki Jodi ka holi ke upar shandar gana movie aap ki kasam se. Holi ke din bhaang milakar pilai jati hai or is gane me use shandar tarike se dikhaya gaya hai. Bholenath ko sambodhit gaye hue is gane ko aaj bhi sunkar dil Prasanna ho jata hai. To holi ke fans ke liye or Rajesh Khanna or Mumtaz ki Jodi ke diwano ke liye must listen Holi song.
New Hindi Holi Songs
Hamne purani filmo se holi ke gane to dekh liye to ab bari hai naye hindi songs ki. Holi Bollywood ke gano me hamesha se achchhi tarike se darshaya gaya hai usme nai Bollywood movie bhi utni hi samil hai. To aaiye dekhte hai Holi ke Gane new hindi movies me se.
Holi Songs from Bollywood New Movies
1) Holi Khele Raghubeera Avadh Main from movie Baghban: Amitabh Bachchan ki khoobsurat film me se bahut hi umda gana. Upar se Amitabh Bachchan ki shandar avaaz to hamare jaise Holi lovers ko or kya chahiye. Baghban film 2003 me release hui thi lekin film ka yeh gaana aaj bhi bajta hai to panv thirakne lagte hai. Amitabh Bachchan ki aavaz or Aadesh Shrivastav ke music ne shandar Holi ka mahol banaya tha jo ham aaj bhi feel kar sakte hai. To Baghban ka yeh gana sabhi Holi ke lovers ke liye must listen song hai.
2) Soni Soni Akhiyon Vali from movie Mohabbatein: Amitabh Bachchan ki film se Holi ka ek or gaana. Amitabh Bachchan or Shahrukh Khan ne is film me sath aakar Dhamaal macha di thi. Dono ne pehli bar is film me sath kam kiya tha or yeh film superhit hui thi. Film ke hit hone ke peeche ka ek reason is film ka music bhi tha. Yash Raj banner ke tahat bani film ka music Jatin - Lalit ne diya tha or film ke sabhi gane bahut hi achche the jo ki is film ki safalta ka ek main reason tha.
3) Balam Pichakari jo Tune mujhe mari from movie Yeh Jawani Hai Diwani: Naye Holi ke gano me se popular 2013 ki film ka gana. Ha is gane me holi ki masti ko bakhoobi darshaya gaya hai. Pritam ke music ne is gane me char chand laga diye hai. Holi ke din yeh gaana bhi aksar music channel or radio station par sunai dega.
4) Go Pagal from movie Jolly LLB 2: Holi ki masti ko darshata ek or superhit gana Akshay Kumar ki movie se. Is gane me Holi ki masti or rango ki barsat ko khoobsurati se darshaya gaya hai jo ki baa hi majhedar lagta hai.
Final Words: To yeh the holi ke kuch chuninda gane aapke liye. Yahan par sirf chuninda gane hi diye hai lekin holi ke bahut sare filmi gane or bhi hai jo aapko internet ke madhyam se mil jayenge. Or happy holi Status ke liye is website ke or bhi article hai jo aapko holi wishes or images ke liye madadrup honge.Happy Holi! 😊😊
0 Comments